Cool Shayaris :- 164

Paani mein patthar na maaro,
Koi aur bhi peeta hai,
Jindgi jeena hai to muskura ke jiyo,
Tumhe dekhkar koi aur bhi jeeta hai......!"

Dard Shayaris :- 163

Suna hai nazar milaane se badi takleef hoti hai,
Suna hai dil lagane se badi takleef hoti hai,
Yoon to haal pe mere muskurate hai sabhi,
Par tere muskarane se badi takleef hoti hai.

SMS Shayaris :- 162

Mein tumhare liye sab kuch karta..
Magar mujhe kaam tha......
Mein tumhare liye doob ke marta...
Magar mujhe zukham tha

Hindi Shayaris :- 161

Nigaahein aapki pehchaan hain humari,
Muskurahat aapki shaan hai humari,
Rakhna hifajat tum apni,
Kyonki saanse aapki jaan hai humari

Dard Shayaris :- 160

Chand lamhe saath tere guzarna chahta tha
Taqdeer ke lakiro ko yun badalna chahata tha
Zamane ki gardish mein simat gayi zindagi meri
Warna main to tumhe apna banana chahata tha

Shero - Shayaris :- 159

Tumhe apne dil mein basaye rakhta hoon ,
Aur duniya ko bhulaye rakhta hoon .
Tumhe meri nazar na lag jaye,
Isliye apni nazrein jhukaye rakhta hoon .

Hindi Shayaris :- 158

Zindagi ek chahat ka silsila hai,
Koi mil gaya to koi bichad gaya,
Jinhe manga ta duwao main,
Vo kisi aur ko bin mange hi mil gaya.

Dard Shayaris :- 157

Badi aasani se dil lagaye jaate hai,
Par badi mushkil se vaade nibhaye jaate hai.
Le jaati hai mohabbat un rahon pe
Jahan diye nahi dil jalaye jaate hai
Nazar humari,
Nazar tumhari,
Nazar ney dilki nazar utari .....
Nazar ney dekha nazar ko aisey,
Key kavi nazar na lagey,
Dosti ko humari ....
Payal chhankati ayee thi…..
Payal chhankati chali gayee,
Main sindoor leke khada tha,
Mujhe Rakhi pehnake chali gayee.
Saawan ka mausam tha,
Poonam ki raat thi,
Mein uske paas tha,
Woh mere karib thi

Fir woh mere paas aayi,
Aur thodi si ghabraayi,
Jab meine uska haath pakada,
To woh thodi si sharmaayi

Usne kaha aaj hum
Aise bandhan me bandh jaaye,
Jise duniya ki,
Koi taakat na tod paaye,

Meri khushi ka andaaza,
Lagana mushkil tha,
Par iske aage jo hua,
Woh batana bhi mushkil hai

Usne mera haath,
Haatho me lekar kaha,
Yeh to janam janmo,
Ka bandhan hai

Phir mujhe yaad aaya,
Woh Saawan ka mausam,
Woh poonam ki raat,
Yeh to Raksha Bandhan hai!
Na Maa ke pyaar se,
Na Daddy ke maar se,

Na doston ki fatkaar se,
Na ladki ki inkaar se....

Aur na hi chapplon ki bauchar se

*

*

Tujh jaise aashiq sudhrenge to,
RAKHI ke hathiyaar se
Khuda kare tujhe khushiyan hazaar mile,
Mujhse bhi achcha yaar mile,


Meri girlfriend tujhe bandhe RAKHI,
Aur ek AUR behan ka pyaar mile...


Happy RAKSHA BANDHAN
Kal Mila Waqt To Zulfain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Apne Aagaaz Se Aaaj tak Zindagi
Teri Hi Yaad Main Gum Rahi
Phir Bhi Jaane Kyon Yeh Ihsaas Hai
Jaise Chaahat Meri Kam Rahi
Faasle Jism Ko To Dour Le Jaate Hain,
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi,
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To,
Saath Dekhe Hue Khwab Kabhi Mit-tey nahi
Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Huye Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye,
Inkar Bhi Hai aur Iqraar Bhi Hai.
Saaqi teri mehfil mein ek mehmaan abhi baki hai....,
Teri may ka, tere roop ka kadardaan abhi baki hai....;
Iss tarah kaise uthh jaaoon, Kahani adhoori chhod kar aise...,
Tune rukh se naqaab uThaaya hai mera imtehaan abhi baki hai..!!!
Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!
Ful ki shuruwat kalise hoti hai,
Zindagiki shuruwat jaan se hoti hai,
Pyaar ki shuruwat dostise ...
Aur dosti ki shuruwat aapase hoti hai !!!
Bahut khushnooma kal ki Raat guzri hai
Kuch tanha par kuch khaas guzri hai
Na neend aayi na Khwaab koi
Bas aap hi ke khayalon ke saath guzri hai
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
Afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardaan (neck) to phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
Masti aankhon me hoti hai..sharaab me nahi...
Bhakti shraddha me hoti hai...shabdon me nahi..
Tu bhi jaan le mere dost...
Dosti dil me hoti hai.. dikhaweme nahi...
Mera ikaraar tere inkaar se behatar hoga,
Mera din bhi teri raat se behatar hoga,
Yakeen nahi aata to dolise zankakar dekh lena..
Mera janaazaa teri baaraat se behatar hoga !!!
Baadal garaja magar barasaat nahi aayi,
Dil dhadaka magar aawaj nahi aayi,
Pura din gujarane ko hai dost,
Kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
Unako chaha bhi to izahaar na karana aaya,
Kat gayi umar hame pyaar na karana aaya,
Unhone maanga bhi agar kuchh to judaai maangi,
Aur ham the ki hame inkaar bhi na karana aaya !!!
Kashti toofan se nikal sakti hai,
Taqdeer kisi bhi waqt bhi badal sakti hai,
Hausla rakh, channel na badal,
Woh hassen badan kisi bhi waqt jhuk sakti hai
Aaj apne aap se khafaa hoon......
Jo uske chere ki madhoshiyaan na pad saka,
Par kya karoon uski yaad me aisa khoyaa
Ki uski muskurahat ke peeche ki shararat na pad saka.
Aaj kuch khas baat to jaroor hai ......
Jo aap itne madhosh huwe ja rahe hain.....
Kahin ye bin piye jaam ka nasha to nahin..
Jo aap itne Ashiq mizaz huwe ja rahe hain
Aapke shahar ka har mausam suhana lage,
Ek shaam chura loon aapki agar bura na lage,
Aap chahe bhula de hume ek pal me hi,
Aapko bhulane me shayad hume jamana lage.
Aapne dushman se hi dil laga baithe
Unki Saadgi se fareb kha baithe
Pattharon se tha Apna rishtaa..
Phir bhi Shishe ka Ghar bana baithe
Nanhe se dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bhid main pehchan koi rakhna.
Ache nahi lagte jab rahte ho udas,
In hoto pe sada muskaan vahi rakhna.