Urdu Shayari-Urdu Ghazal-Judai Shayari

Urdu Shayari-Urdu Ghazal-Judai Shayari

Main lafzon se kuch bhi izhar nahi karta
Iska Matlab ye to nahi ki main tujhe pyar nahi karta

Chahta hu main tujhe aaj bhi
Par teri soch me apna waqt bekar nahi karta

Tamasha na ban jay meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Aashakar nahi karta

Jo kuch Mila hai Usi me khush hun
Tere liye Khuda se takrar nahi karta

Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta

Urdu Sher - Azad Nazm - Urdu Azad Nazm

Urdu Sher-Azad Nazm- Azad Nazm

Shayed Jashne Azaadi par

Abba Tum ne

Bhayya ki ek kaapi lekar

Kuch acche se naare

Aur kuch pyaare pyaare geet likhe the

Azaadi ke,Yakjahti ke,Hubbe watan ke,

AAJ

Us kaapi ka mujh ko ek waraq

Gahr ke bikhre saman me mila

Jis par Aap ne ye likha hai

Hindu,Muslim,Sikh,Isaai!

Aapas me hain………

Aapas me hain………

Us ke aage Aap ne jane kya likha tha

Bhige bhige,phaile phaile,madham madham,lafzon ko main

Dekho kab se ghoor raha hu

Lekin Abba

Ab to unka padhana bhi na mumkin hai

Kyu ki in par

Khoon Apka phail gaya hai!!!!!

Ishq Shayaris

tumhari aankhon se gehra na koi samander,
kai khawab sajte hai in se milkar

Hum Toh Masroof The Apni Tanhayiyon Mein.
Muddaton Baad Kissi Ne Pukara Hai.
Ek Pal Toh Hum Ruk Kar Sochne Lage.
Kya Yehi Naam Hamara hai...!

Ek hasein shaam kay liye hum nay apni zindagi tere naam kar de.
teri chahat kay liye khud ki zindagi badnaam kar di

Shayaris

Dukh-sukh ki dhoop-chaanv se aage nikal gaye,
Hum khwaishon ke gaavn se aage nikal gaye

Raazdaro se bachkar chalta hoon
ghamghusaaron se bachkar chalta hoon
mujhko dhoka diya sahaaron ne
ab sahaaron se bachkar chalta hoon

Urdu Shayari, IT Engineer Ki Shayari!!!

Urdu Shayari, IT Engineer Ki Shayari!!!

Jo sadiyaon se hota aaya hai, woh repeat kar doonga...
Tu naa mili to tujhko dil sey Ctrl+Alt+delete kar
doonga...
************ ******

Company kee ladkiyaan sunder hain aur lonely hain...
Problem ye hai ki bus voh READ-ONLY hain...
************ ******

Shayad mere pyar ko taste karna bhool gaye...
Dil sey aisa CUT kiya ke PASTE karna bhool gaye...
************ ******

Tumhare samne hain itney items kabhi hame bhi pick
karo...
Hamare pyar ke ICON pe kabhi to tum DOUBLE-CLICK
karo...
************ ******

Roz subha hum karte hain itne pyar se unhe good
morning...
woh humhe ghoor kar dekhte hain jaise 0 ERRORS but 5
WARNINGS...
************ ******

Ho gayi galti humse, click ho gaya mouse
Duniya ki parwaah chhodo, ban jaao meri spouse!
************ ******

Tumse mila main kal to, mere dil mein hua ek sound,
Lekin aaj tum mili to kehti ho: Your file not found!
************ ******

Ab aur kaho na tum, "but" ya "if"
Tum ho meri zindagi ki animated gif
************ ******

Aysa bhi nahin hai ke, I don't like your face
Par dil ke computer mein, nahin hai enough disk space
************ ******

Ghar se nikalti ho tum jab, pehen ke evening gown
Too many requests se, ho jaata hai server down
************ ******

Tumhaare liye pyaar ki application, create main
karoonga
Tum usse debug karna, wait main karoonga
************ ******

Tumhaara intezaar karte karte, main so gaya
Yeh dekho mera connection, time out ho gaya
************ ******

Kya chaal hai tumhaari, jaise chalti hai koi cat
What is your ICQ number, aao karein chat
************ ******

Tum jabse meri zindagi mein, aayi ho banke female
Yaad raha na ab kuch, na postman, na email

Urdu Shayari - Urdu Ghazal - Mirza Ghalib - Har ek baat pay kehtay ho

Meri Ek "all time favorate ghazal" Listen and enjoy

These are the pics of my visit to Ghalib's Haveli and of red fort...with one ghalib's best known GHazal.

here are the lyrics and translation :

hain aur bhi duniya main sukhanwar bahut acchay (There are other poets in the world that are very good)

kehtay hain ki ghalib kay andaaz-i-bayaan aur....(they say but that the way Ghalib puts it, is something else..)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)

tumhi kaho ki, yeh andaz-i-guftagoo kya hai (now u only tell wat is this way to talk like this..)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins)

Ragon mein daudtay firnay kay hum nahi kayal (i am not fond of seeing them flow in the veins)

Jab aankh hi say na tapka to fir lahoo kya hai (when it didnt dropped out of the eyes then may be its not blood)

chipak raha badan par lahu se pairaahan
hamare jeb ko ab haajat-e-rafu kya hai

(When my bloodied clothes are sticking to my body...What is the use of mending/darning my pocket then)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga (when the body has burned now..may be the heart would have burnt too)

Kuraidtay ho jo ab raakh justajoo kya hai (now why do u scratch these ashes..wat do u really want now)

Har ek baat pay kehtay ho tum, ki tu kya hai (on just about every thing u tell me who u are)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak)

rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhee(There remains none but little strength to speak)

to kis umeed pay keh dain ki aarzoo kya hai (then on wat hope should i tell u wat is my wish)