Aapne Jo Likh Diya - Free Online Shayari

Jo Likh Diya Hai Aapne, Khoone Jigar Se
Hum To Kahenge Yahi, Hume Apana Bimaar Kijiye
Wada Raha Ye Aapse, Nibhayenge Dosti
Rah-e-Wafa Mein Hain Khade, Didaar Kijiye
Jo Khwaab Dekhe Aapne, Pura Karenge Hum
Apani Diwangi Ka Jara, Ikraar Kijiye
Hone Na Denge Kabhi, Rooswa Hum Aapko
Apani Inayato Se Hume, Sarobaar Kijiye
Ab Maan Bhi Jayiye, Sarkar Aap To
Ab Aur Hume Yu Na, Bekarar Kijiye

Wo Roye To Bahot - Free Online Shayari

Wo roye to bahot per mujhse muh mor kar roye
Koi majburi rahi hogi jo dil tor kar roye
Mere saamne kar diye usne meri tasveer ke tukde
Pata chala mere peeche wo unhe jod kar roye

Bewafa - Latest Shayari

Kuchh Mat Poochh Tujhse Pyar Kitna Karta Hoon,
Har Raat Teri Yaad Mein Aakhein Ashk Baar Karta Hoon,
Tum Bewafa Thi Jo Pyar Se Daaman Bacha Baithi,
Main Bewafa Hoon Isliye Tujhe Pyar Karta Hoon.

Maut Sahara

Kis Tarah Teri Yaadon Se Kinara Kar Loon,
Teri Judai Ke Sitam Kaise Gawara Kar Loon,
Main Tujhse Bichhoodkar Jiyoon Toh Kaise Jiyoon,
Sochta Hoon Ab Maut Ko Hi Apna Sahara Kar Loon.

Har Lamha Tadpaya Hai

Tere Pyar Mein Humne Sara Jag Thukraya Hai,
Fir Bhi Tune Kadam-Kadam Per Sataya Hai,
Tu Apne Kasmein Vaadon Se Mukar Gayi,
Teri Berukhi Ne Mujhe Har Lamha Tadpaya Hai.

Jawani Josh

Teri Aankhon Mein Masti Samayi Huyi Hai,
Teri Jawani Josh Mein Aayi Huyi Hai,
Is Tanhayi Mein Itne Kareeb,
Voh Sehmi-Sehmi Si, Ghabrayi Huyi Hai.

Hasti Fana Ho Gayi

Zindagi Maut Ka Saaman Ho Gayi,
Teri Aankhein Jab Preshan Ho Gayin,
Aaj Khud Se Puchhta Hai Ye Dil,
Teri Hasti Kisliye Fana Ho Gayi.

Tera Intezar

Kahan Tak Zalim Tera Intezar Karoon,
Tu Bewafa Toh Nahi,
Magar Kitna Aitbar Karoon,
Sitam Mujh Per Huye Aur Tum Chup Hi Rahe,
Tum Hi Batao Kab Main Akela Hi Pyar Karoon.

Hasraton Bhra Chaman

Har Khushi Chheen Lee Hai Jamaane Ne,
Mujhe Thookra Diya Mere Hi Aashiyane Ne,
Ujad Gaya Hai Hasraton Bhra Chaman,
Mujhko Tadpaya Apne-Begaano Ne.

Roosvai Hi Roosvai

Ab Toh Had Ho Gayi Jaan Per Ban Aayi Hai,
Meri Aankhein Tere Deedar Ki Tamannayi Hain,
Kis Tarah Aayun Batao, Tumse Milne,
Tere Shahar Mein Badnami Hai, Roosvai Hi Roosvai Hai.

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde - Online Sher-o-Shayari

Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.

Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!

Ek ada aapka dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.


Jinhe nazar Zhukake Sharmane ki Aadat hai - Love Shayari Online

Hume Hasne-Hasane ki aadat hai, Nazron se Nazar Milane ki Aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili, Jinhe nazar Zhukake Sharmane ki Aadat hai.

Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?

Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.

Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....

Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein - Love Shaayari

Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.

Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein, darte hain koi jaan na le. Pasand karte
hain tez barsaat mein chalna, kahi rote hue ko koi pehchaan na le.

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.

Do pal ki bhi khushi na mili to kya hua umr bhar gam ke sahare ji lenge,
Kya hua jo hamari girlfriend nahi, hum aapki girlfriend ke sahare ji lenge.

Romantic Sher O Shayari

Jab bhi kisi ko kareeb paya hai, kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai.
Kyon dosh dete hein hum kanto ko... Zakham to humne phulo se paaya hai.

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi, to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki
dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.

Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena, mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

Zalim Jahan Ne

Zalim Jahan Ne Hume Juda Kar Diya,
Maine Bhi Tujh Par Sab Fida Kar Diya,
Tere Shahar Ke Log Toh Pehle Se Hi The Dushman,
Mujhe Toh Tune Bhi Aaj Khud Se Juda Kar Diya.

Jab Main Jeeta Tha

Tere Hothon Ka Jaam Jab Main Peeta Tha,
Dil Ke Zakhmon Ko Prem Se Seeta Tha,
Har Ghadi Murda Rehta Tha Jism Mera,
Tu Paas Hoti Thi Jab Main Jeeta Tha.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Vada-O-Ikrar

Aaj Roshan Fir Mere Rukhsar Ho Jaye,
Chalo Is Tanhayi Mein Fir Pyar Ho Jaye,
Mere Seene Se Lag Jao Pehle Ki Tarah,
Fir Se Ek Baar Vada-O-Ikrar Ho Jaye.

Iltaja

E Khuda Tujhse Iltaja Hai Meri,
Tu Mere Pyar Ke Dushmano Ko Khak Mein Mila De,
Pyar Mere Ko Roosva Kiya Jinhone,
Voh Tadpate Rahein Aisi Unhe Saza De.

Ek Khoobsoorat Nazrana - Free Online Shayari

Yaadon mein aapka aashiyana hai
Ye dil toh bas aapka thikana hai
In palko pe aapke khawab sajana hai
Yehi toh dil ka sabse hasin nazrana hai

Sochta Hoon Use Neend Bhi Aati Hogi - Free Online Shayari

sochta hoon use neend bhi aati hogi
ya meri tarha faqat aashq bahati hogi
wo meri shakal mera naam bhulane wali
apni tasweer se kya aankh milati hogi
sham hote hi chokhat pe jala kar shameen
apni palkoon pe kayi khwaab sulati hogi
usne silwa bhi liye honge siyah rang libas
ab moharram ki tarha Eid manati hogi
hoti hogi mere bose ki talab mein pagal
jab bhi zulfon mein koi phool sajati hogi

Meri Hasratein

Kadar Jazbaton Ki Na Huyi Tere Shahar Mein,
Janaja Ulfat Ka Uth Gaya Tere Shahar Mein,
Isliye Door Tujhse Chala Aaya Hoon,
Meri Hasratein Dafana Di Gayi Tere Shahar Mein.

Zalim Sara Zamana

Log Bedard Hain Yahan, Zalim Sara Zamana Hai,
Dushman Huye Apne Praye, Ye Saya Tak Begana Hai,
Kis Par Yakin Ab Hum Karein,
Is Shahar Ka Har Shakhs Pyar Se Anjana Hai.

Pyar Rusava Ho Gaya

Pyar Rusava Ho Gaya, Main Tadap Kar Reh Gaya,
Khawab Pyar Mein Dekha Jo, Veh Bikhar Kar Reh Gaya,
Phool Gulshan Mein Bahut Khile The,
Kaya Karein Magar Sara Aashian Ujadkar Reh Gaya.

Meri Wafa

Pyar Katl Ho Gaya Daulat Ki Talwar Se,
Phool Sab Murjha Gaye Kalyug Ki Bahar Se,
Kisi Ne Meri Wafa Ki Kadar Na Ki,
Dil Uchat Gaya Hai Jahan Se, Ghar Bar Se.

Muflisi

Mohabbat Aaj Ke Daur Mein Gunaah Ho Gayi,
Muflisi Insaan Ke Liye Saza Ho Gayi,
Chal Is Shahar Se Door Kahin,
Yahan Teri Sharafat Hi Khata Ho Gayi.

Rasmein Wafa

Khinja Ka Daur Mit Jayega Tere Aane Se,
Baaj Aa Jao Ab Sir Dard Ke Bahaane Se,
Ek Muddat Se Mutanjir Hai Tera,
Aitraaj Kya Hai Tujhe Rasmein Wafa Nibhane Mein.

Sirf Tanhayi

Har Pal Saath Rehne Ki Kasam Khayi Hai,
Maine Har Rasm Ulfat Ki Nibhayi Hai,
Tum Daaman Bachakar Phoolon Mein Jaa Baithe Ho,
Mere Aangan Mein Sirf Tanhayi Hai.

Ek Gulab

Chaman Se Bichhda Hua Ek Gulab Hoon,
Main Khud Apni Tabaahi Ka Jawaab Hoon,
Yoon Nigaahein Na Fer Mujhse Mere Sanam,
Main Teri Chahaton Mein Hi Hua Barbaad Hoon.

Kismat Mein Tanhayi

Haye Re Kismat Teri Duhai Hai,
Sharafat Ka Baadal Yahan Ruswai Hai,
Jo Mujrim The Munsif Bane,
Aur Ab Teri Kismat Mein Tanhayi Hai.

Sad Urdu Shayari

Hasraton Ki Dunia

Mit Gayi Jab Hasraton Ki Dunia,
Tab Kahin Use Mera Khayal Aaya,
Lut Raha Tha Ghar Mera Jab Uske Saamne,
Tab Use Zara Sa Na Malaal Aaya,

Kaun Kehta Hai - Free Online Shayari

Kaun kehta hai ki aapse humari judai hogi
Ye afvah kisi dushman ne failai hogi
Shaan se rahenge "Jaan" aapke dil me hum
Itne dino mein humne kuch toh jagah banai hogi

Tanha Na Koi Ho - Free Online Shayari

Tanha na koi ho ye dua hai meri
Ruswa na koi ho ye dua hai meri
Jaisa mujhe deewana kiya ulfat ne
Aesa na koi ho ye dua hai meri

Tanha Safar

Teer Nafraton Ke Chale Mere Jigar Par,
Pehray Laga Diye Gaye Gar Teri Nazar Par,
Tu Saath Nahi Hai Mere, Bhatakata Hoon Tanha,
Kaise Nikloon Kisi Aur, Naye Safar Par.

Khamoshi - Free Online Shayari

Har dua me jaise ek fariyaad chhipi ho
Tanhaee me kisi ke saath chhipi ho
Lamho me kisi ki yaad chhipi ho
Is khamoshi me jaise koi baat chhipi ho

Nashili Palak - Free Online Shayari

Tere zulf nazaarah-e-falak
Aur hai nashili teri palak
Khuda ki nawaazish ka
tera chehra hai ek jhalak
Ab is chehre ko dekhoon main yaka yak

Nam Aankhein - Free Online Shayari

nam ankhon se vida kiya tha
aur aankhein ab tak nam hai
yaad kyun karte ho humein
hum to aapke saath har dum hai
laut ke jaldi aayenge vaapis
humein aapki kasam hai

Besabri Se Intazar - Free Online Shayari

Dil ko tha aapka besabri se intazar
Palke bhi thi aapki ek jhalak ko bekarar
Aapke aane se aayi hai kuchh aisi bahar
Ki dil bas maange aapke liye khushiyaan beshumar

Har Lamha Har Pal - Free Online Shayari

Har lamha har pal
har minute, har ghanta
har din aur har raat
dil chahe bas tera sath
tere sath se milta sukoon hai
tera pyar pana hi meri jindgi ka ab junoon hai

Free Online Shayari - HAR RAH SE

Har Raho Se Hum Aapki Raah Ko Saza Denge
sapno ki daulat ham aap par luta denge
na koi phool hai aaj mere daman me
lekin apke aane par ham apni palke bichha denge

Mere Sabar Ka Na Le Imtihaan

Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan
Meri Khamoshi Ko Sada Na De
Jo Tere Bagair Na Ji Sake
Use Jeene Ki Tu Duaa Na De

Tu Azeez Dil-o-nazar Ke Hai
Tu Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mere Jism-o-jaan Ka Ye Faasla
Kaheen Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Ke Na Bhula Sakoon
Tujhe Chah Ke Bhi Na Pa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar
Meri Chahatoon Ka Sila Na De

Wo Tadap Jo Shola-e-jaan Mein Thi
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi
Jo Bujha Sake To Bujha ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe gar Milein Kabhi Fursatein
Meri Shaam Phir Se Sanwaar De
Jo Qatal Karna Hai To Qatal Kar
Yoon Judaiyon Ki Sazaa Na De

Taklif Nahi Hoti - Free Online Shayari

Taklif nahi hoti ishq me aansu bahane me
dard nahi hota apna khoon bahane me
taklif to tab hoti hai jab naadan baithta hai koi
wapas na aane wale ke lambe intezaar me

Shohrat Milti Hai Kabhi Kabhi - Free Online Shayari

Shohrat Milti Hai Kabhi Kabhi
Aur Daulat Milti Hai Kabhi Kabhi
Yoon To Pyar Kayin Baar Mil Jata Hai
Magar Pyar Ka Izhar Karne Ki Mohlat Milti Hai Kabhi Kabhi

Fariyaad Puri Hai - Free Online Shayari

Ik Fariyaad Layi
Dil Sache Da Hona Zaruri Hai
Sajna Nu Na Mil Pana
Hundi Thodi Majburi Hai
Kiti Jhuthe Dilon Fariyaad
Rehndi Hamesha Adhuri Hai
Jo Kare Sache Dilon Yaad
Hundi Ohdi Har Fariyaad Puri Hai

Urdu Ghazal,Urdu Shayari

Urdu Ghazal, Urdu Shayari

Badi Taqleef se Qaati jo Manzil Hum ne Qaati hai
Wafa ke Raaste pe Sakht Moshkil moor aye hain
Humari Zindgani hi Wafa ki Dastan ho gi
Janha guzrey Wanha Hum Kehkshaan Choor aye hain

By:Mubaraka khanum

App apni tehrerain comments section main be likh sakteain hain....is blog ko subscribe kijiye aur mazaa ligiye nayi sher aur shayaris ka....

Nazarein Churaate Hai Hum - Free Online Shayari

Kyon apne hi dil se majboor ho jaate hai hum
Kyon paas rehte hue bhi door ho jaate hai hum
Kabhi duniya ke rushmo riwajo ki wajah seTo kabhi apne hi rishto naato ki wajah se
Kyon saath chalte hue bhi juda ho jaate hai hum
Kabhi aahato se pehchaan lete the ek dusare ko
To kabhi bin kuchh bole samajh lete the ek dusare ko
Kyon kabhi saamne aate hi anjaane ban jaate hai hum
Kabhi sapno me hoti thi roj mulakate
To kabhi khayalo me hoti thi bahut si baate
Kyon aaj ek dusare se nazarein churaate hai hum

Humari Yaad - Free Online Shayari

Tanhaayi me agar yaad aaye hum
mat karna apne dil pe sitam
jitni bunde aansu bahaaogi tum
utne din honge humari zindagi me ku

Band Palko Ka Jadoo - Free Online Shayari

Palko ke band hone se dikhte hai sapne
Dilo ke milne se bante hai anpne
Yaadon mein lage hai bas aaphi ke khawab sajne
Aur aapke saath hone se lagti hai khushiyaan dikhne