Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari



Na karo wo vada jise tum nibha na sako,
Mat chaho use jise tum pa na sako,
Pyar kahan kisi ka pura hota hai,
Pyar ka pehla akshar hi adhura hota hai.

Aati hai yaad bar-bar,
Tumhe kaise bhlaye hum,
Jis dil me tuhari yaad na ho,
Aisa dil kahan se laye hum.

Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari

Urdu Shayari - Romantic Urdu Shayari

Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo



Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo



Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo



Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo



Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo



Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo



Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo

Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher

Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho

Merey khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho

Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to

Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey

Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho

Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisi
Key woh to bilkul aasman key chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho

Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho

Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari

Sad Ghazal - Dardbhari Ghazal - Sad Shayari



Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.

Urdu Ghazal - Urdu Romantic Ghazal - Urdu Nazm

Urdu Ghazal - Urdu Romantic Ghazal - Urdu Nazm



Gazab ka husno sabab bekha
zameen par mahtab dekha

Khiza raseeda chaman mein aksar
Khila khila sa gulab dekha

Kisi ke rukh pe parisa gesoo
kisi ke rukh pe nakab dekha

Wo aae milne yakin kar loo
Ki meri aankho ne khwab dekha

Lo tooti tauba lo chhanke sagar
Jo unko peete sarab dekha

Na dekhoo roze hisab ya rab
Zamee pe jitna azab dekha

Milega insaf kaise 'shahid'
sadakto pe nakab dekha.

Sad Shayari - Tanhayi Shayari

Sad Shayari - Tanhayi Shayari

Dor Kahin, Ek Piple ki Dehleez pe Bhite,
Hum Apne dil ke Sulgane Ka sabab Soch Rahe The

Jala Ke Chal Diye Hamara Dil
Wo Kyon, Ye Sonch Rahe the....

Kyon Kar bhaite Hum Mahabbat Bewafa se,
Hum Sonch Rahe the

Mazahiya Shayari - Urdu Sher

Mazahiya Shayari - Urdu Sher



1) Un se pocha Jo Chand Nikalta Hain Kis Tarah se
Apni Zulfon Ko Rokh pe Jatak Diya Ke Yun

2) Ya rab nigahe naaz par bhi kyon na ho licen
wo bhi to qatal karti hai talwar ki tarah.

3) Is dunya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya,
pairon mein janjire dali hatho mein kaskol diya,
jab bhi koi inam mila mera naam bhi bhool gaye,
jab koi iljam laga mujh par la kar dool diya,
ab chahe andhi aye ya phir toofan aye,
maine bas aahat payi aur darwaza khula chod diya.