Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari

Urdu Shayari - Urdu Romantic Shayari


Maine usko salam likh bheja hai

Haale dil tamam likh bheja hai

Maine pucha tere hont kaise hain

Usne ik lafz jaam likh bheja hai

Maine pucha tere baal kaise hain

Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai

Maine pucha kab hogi mulaqaat

Usne qayamat ki shaam likh bheja hai

Maine pucha intna tadapti kyun hai

Us ne jawani ka inteqam  likh bheja hai

Maine pucha tere khadu khal kaise hain

Usne husne tamam likh bheja hai

Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai

Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai

Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai

NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai

Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda" sa lagta hai

koi jab do dilo ke darmian nahin doori
jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai



Other

Chali aati hain dabe paaon teri yaadein shaam dhale

Chali aati hain dabe paaon teri yaadein shaam dhaleke hoti hai chirageen dil ki mehfil shaam dhaleHuye tum kin raahon ke musaafir,itna to bata deteke laut aate hain panchi bhi ghar ko shaam dhaleTere intezaar mein yoon har roz jhilmilati hain aankhenke jaise mazaar pe jalta hai koi diya shaam dhaleLaut aaye na kahin takra ke arsh se duaa meridil se aati hai aksar ye sadaa shaam dhaleTeri doori ka

Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris

Urdu Shayari - Sad Urdu Shayari - Urdu Shayaris

Itni muddat baad milay ho!
Kin sochon mien gum phirtay ho?
Itnay khaif kion rahtay ho?
Her aahat say darr jatay ho
Taiz hawaa nay mujh say poocha
Rait per kia likhtay rahtay ho?
Kaash koi hum say bhi poochay 
Raat gaye tak kion jagay ho?
Mien darya say bhi darta hon
Tum darya say bhi gahray ho
Kaun si baat hai tum mien aisi 
Itnay achay kion lagtay ho?
Peechay murr kar kion dekha tha
Patthar ban kar kia taktay ho
Jao jeet ka jashan manao 
Mien jhoota hon tum sachay ho
Apnay shahar kay saray logon say 
Meri khatir kion uljhay ho
Kahnay ko rahtay ho dil mien
Phir bhi kitnay duur kharay ho
Raat humien kuch yaad nahi tha
Raat buhut hee yaad aye ho
Hum say na poocho hijar kay qissay 
Apni kaho abb tum kaisay ho
Faraz tum badnaam buhut ho
Jaisay ho phir bhi achay ho

Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri

Urdu Shayari - Shayari in Urdu - Urdu shayeri


Apane Khvaabon me tujhe jis ne bhii dekhaa hogaa
Aankh khulate hii tujhe Dhundhane nikalaa hogaa

Zindagii sirf tere naam se mansuub rahe
Jaane kitane hii dimagon ne ye sochaa hogaa

Dost ham us ko hii paiGaam-e-karam samajhenge
Terii furqat kaa jo jalataa huaa lamhaa hogaa

Daaman-e-ziist me ab kuchh bhii nahi hai baaqii
Maut aa jay to yaqiinan use dhokaa hogaa

Raushanii jis se utar aai lahuu me mere
Ay masiihaa vo meraa zaKhm-e-tamannaa hogaa

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari

Urdu Shayari -Love Shayari-Shayari



Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai

urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals

urdu poetry aka Urdu Shayari, urdu ghazals

Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabi kahe ajnabi tum ho

Log kahte hain ajnabi tum ho
Ajnabi meri zindagi tum ho

Mujhe apna shareeke gham karlo
Yun akele bahot dukhi tum ho

Dosto se wafa ki ummiden
Kis zamane ke admi tum ho

Dil kisi aur ka na hosaka
Aarzo meri aaj bhi tum ho

Main zamin pe ghana andhera
Aasman ki chandni tum ho

Log aate hain log jate hain
meri aankhon mein aaj bhi tim ho